Roman script

jab dil na ho pahlu me, to jine ka maza kya

jine ka maza kya

jab dil na ho pahlu me, to jine ka maza kya

jine ka maza kya

dil todne wale ye bata, tujhko mila kya 

tujhko mila kya 

jab dil na ho pahlu me, to jine ka maza kya

jine ka maza kya

sine me hi ghut ghut ke, mare jate hai arman

jab dil pe lage chot, tadap uthta hai insa

do tarfa barbadi mohabbat ka balidan

do tarfa barbadi mohabbat ka balidan

kya todne me dil ke, maza aata hai bhagwan

kya todne me dil ke, maza aata hai bhagwan

insaf se kah de, yahi insaf hai tera

insaf hai tera

jab dil na ho pahlu me, to jine ka maza kya

jine ka maza kya

duniya yahi duniya hai to, duniya ko jala du

ho agar bas chale mera, abhi akash hila du

duniya yahi duniya hai to, duniya ko jala du

ho agar bas chale mera, abhi akash hila du

in ashko ke tufan se, dharti ko baha du

sansar me har charo taraf, aag laga du

aag laga du

kyu prem ki basti me hai, krodh ka phera

krodh ka phera

jab dil na ho pahlu me, to jine ka maza kya

jine ka maza kya

Explore this song