Roman script

jab aaye aise pal kabhi

mayusiyo ki ho ghadi

jab aaye aise pal kabhi

mayusiyo ki ho ghadi

lagne lagi ye bojh si

hamko hamari zindagi

meri aatma tu mujhe thamna

jab aaye aise pal kabhi

mayusiyo ki ho ghadi

jab aaye aise pal kabhi

mayusiyo ki ho ghadi

lagne lagi ye bojh si

hamko hamari zindagi

meri aatma tu mujhe thamna

koi hamko dekhe agar dushmani se

juda humko karne lage roshni se

magar pyar ki hum kiran leke aaye

andhero me usko ujala dikhaye

ummido ke phir se diye ham jalaye

saugandh pyar ki tujhe 

himmat ye aaj de mujhe

kitni ho tej aandhiya

man ka chirag na bujhe

meri aatma hai yahi prarthna

bhula do jo dil me tumhare gila hai

yaha nafrato se kise kya mila hai

jo masum dil me machalta hai sapna

use ho sake to na mayush karna

kabhi dekh lo man ka darpan bhi apna

kabhi dekh lo man ka darpan bhi apna

insaniyat kidhar gayi, sachchaai kaise mar gayi

insaniyat kidhar gayi, sachchaai kaise mar gayi

is yudh path ki aag ko, sari fiza me bhar gayi

meri aatma tu magar jaagnaa

Explore this song