Roman script

jaate-jaate ik nazar bhar dekh lo dekh lo

subah kaa vaqt huaa aai gulashan me sabaa

chhid gayaa saaj-e-chaman gunji aavaaz-e-chaman

naalaa bulbul ne kiyaa khul gayaa raaz-e-chaman

phul muskaraane lage ishq farmaane lage

aah-e-bulbul se magar faili gulshan me khabar

ishq badnaam huaa chal gayaa sabko pataa

baagbaan aa hi gayaa pyaar ki dene sadaa

phul shaakho se chune naale bulbul ke sune

haar kuchh gunth lie hanste dil tod die

ashk shabnam ke bahe aur khaamosh rahe

haar phulo ke jo gulshan se vo lekar nikla

apne phulo se machalti hui bulbul ne kahaa

kyaa, jaate-jaate ik nazar bhar dekh lo dekh lo

jaate-jaate ik nazar bhar dekh lo dekh lo

jaate-jaate ik nazar bhar dekh lo dekh lo

jaate-jaate ik nazar bhar dekh lo dekh lo

jaate-jaate ik nazar bhar dekh lo dekh lo

jaate-jaate ik nazar bhar dekh lo dekh lo

shamaa ne jalve lutaae jo shabistaano me

shauq jal jaane kaa paidaa huaa parvaano me

sar hatheli pe lie ishq ke jaanbaaz chale

aag sino me chhupaae hue hamraaz chale

aag sino me chhupaae hue hamraaz chale

shamaa ne dekhaa jo aate hue parvaano ko

boli bithlaaun kahaan ishq ke mehmano ko

kaun samjhaega in chaak-garebaano ko

sarphiraa kahti hai duniyaa mere divaano ko

aise divaane ki marne ki kasam khaae hue

ishq ki aag me jalne ke lie aae hue

ishq ki aag me jalne ke lie aae hue

munh phiraaungi to mahfil se nikal jaaenge

inko sine se lagaaungi to jal jaaenge

bole parvaane hame ishq me jal jaane de

jaan ke saath ye armaan nikal jaane de

kah ke shauk me divaane pe divaanaa giraa

ishq ki aag me parvaane pe parvaana giraa

ahal-e-dil jalvaa-e-jana pe fidaa hone lage

shamaa ki lau se gale mil ke judaa hone lage

ishq me dekh kar kurbaniya in divaano ki

shamaa ne itnaa kaha laash pe parvaano ki

kyaa, jaate-jaate ik nazar bhar dekh lo dekh lo

jaate-jaate ik nazar bhar dekh lo dekh lo

jaate-jaate ik nazar bhar dekh lo dekh lo

jaate-jaate ik nazar bhar dekh lo dekh lo

jaate-jaate ik nazar bhar dekh lo dekh lo

jaate-jaate ik nazar bhar dekh lo dekh lo

Explore this song