Roman script

jaaegaa jab yaha se kuchh bhi na paas hoga

do gaz kafan kaa tukda tera libaas hoga

jaaegaa jab yaha se

jaaegaa jab yaha se kuchh bhi na paas hoga

do gaz kafan kaa tukda tera libaas hoga

jaaegaa jab yaha se

matlab ki hai ye duniya 

matlab ki hai ye duniya, kyaa apne kyaa paraaye

koi naa saath aayaa, koi naa saath jaae

do din ki zindagi hai 

do din ki zindagi hai, kar le jo dil me aaye

jaaegaa jab yaha se kuchh bhi na paas hoga

do gaz kafan kaa tukda tera libaas hoga

jaaegaa jab yaha se

ye thaat-baat tera, ye aan-baan teri

ye thaat-baat tera, ye aan-baan teri

rah jaaegi yahi par

rah jaaegi yahi par, ye saari shaan teri

itni hai ae musaafir 

itni hai ae musaafir bas daasta teri

jaaegaa jab yaha se kuchh bhi na paas hoga

do gaz kafan kaa tukda tera libaas hoga

jaaegaa jab yaha se

Explore this song