Roman script
Aap agar… saath hai… Toh zindagi saath hai Aaap agar… saath hai… Toh jeet bhi saath hain Ik jazbaa dil mein hai Ik sapnaa aankhon mein Meri manzil saamne khadi Badi mushkil raahein thi Par dil mein chaahein thi Lo faisle ki aa gayee ghadi… Aap agar… saath hai… Toh zindagi saath hai!! Aap agar saath hai Toh jeet bhi saath hain… Dil mein ehsaas hai khaas hai… Humse ummeedein lagi Duniyaa se aaj hum to takrayenge Agar har dil apne saath ho… Har ummeed aapki Har armaan aapka Vishwason ko hum kandhe pe liye Duniya se ladenge, aage hi badhenge Himmat le ke hum to chal diye… Aap agar saaath hai Toh darr ki kyaa baat hai Aap agar saath hai Mushkilon pe maat hai Aap agar saath hai Zindagi saath hai Aap agar saath hai Jeet bhi saath hain…
Song details
- Film / album: London Olympics 2012
- Composer: Shantanu Moitra
- Lyricist: Swanand Kirkire
Song video
language: Hindi