Roman script

phagun ka mast mahin hai

mausam hai albela

itni badi duniya mein

main lachar hun akela

itni badi duniya mein

main lachar hun akela

in mehlon banglon baagh mein

gulzaar hai zamana

par meraa to mushkil se

kisi kone mein hai thikana

meri galiya sunsaan hain

auron ka lagaa mela

itni badi duniya mein

main lachar hun akela

itni badi duniya mein

main lachar hun akela

bachpan to bita khel mein

ghar chhuta jawaani mein

dukh sehte chale ham behte chale

duniya ki rawaani mein

marne par apna bas nahin

jine mein hai jhamela

itni badi duniya mein

main lachar hun akela

itni badi duniya mein

main lachar hun akela

duniya mein jo dil rakhte hain

daulat bhi unhi se dur hai

duniya banayi jis ne woh

apne nashe mein chur hai

bas dekhne ko sab diya

bas dekhne ko sab diya

rakhne na diya dhelaa

itni badi duniya mein

main lachar hun akela

itni badi duniya mein

main lachar hun akela

Explore this song