Roman script

kamina hai yeh kambakht hai

nikamma nigora bebakht hai

mile ishq ko kya kya khitab

magar ishq kya hai ab hamse suniye janab

sau bar dil se nikala ise, kya kya nahi keh dala ise

besharm hai baz aata nahi, kis kis bahane se tala ise

phir bhi na dil se gaya

ishq hai yeh behaya, besharm behaya

ishq hai yeh behaya, besharm behaya 

sau bar dil se nikala ise, kya kya nahi keh dala ise

besharm hai baz aata nahi, iss kis bahane se tala ise

phir bhi na dil se gaya

ishq hai yeh behaya, besharm behaya

ishq hai yeh behaya, besharm behaya 

ankho ke raste se sanso me ata hai

phir dil pe kabja jamata hai yeh

do char din mauj masti karata hai

khwabo ki duniya dikhata hai yeh

ashik ko hanske petata hai yeh

wado ke gane bichhata hai yeh

shatir shikari hai phir pyar se

milke hi mauka phasata hai yeh, koyi parinda naya

ishq hai yeh behaya, besharm behaya

ishq hai yeh behaya, besharm behaya 

behaya mitha jeher hai yeh, ang leher hai yeh

iske lapete me aana na tu

awara badal hai thoda sa pagal hai

isko kabhi muhn lagana na tu

badnamiyo se yeh darta nahi

logo ki parwah karta nahi

bachpan se bighra huwa hai muaa

kuchh bhi kaho par sudharta nahi

arre aye na isko haya

ishq hai yeh behaya, besharm behaya 

ishq hai yeh behaya, besharm behaya

sau bar dil se nikala ise, kya kya nahi keh dala ise

besharm hai baz aata nahi, is kis bahane se tala ise

phir bhi na dil se gaya

ishq hai yeh behaya, besharm behaya 

ishq hai yeh behaya, besharm behaya

ishq hai yeh behaya

Explore this song