Roman script

is gulshan ko aag laga do, aag laga do

is gulshan ko aag laga do, aag laga do

phool koi na todne paye

phool koi na todne paye 

angare faila do

aag laga do, aag laga do

phoolo pe kaise ho sakta hai kanto ka raaj

shaabnam se keh do

ke vo shola ban jaye aaj

kab se sulag rahi hai ab ye

kab se sulag rahi hai ab ye

chingari bhadka do

aag laga do, aag laga do

is gulshan ko aag laga do, aag laga do

vo fariyad nahi sunte jo hote hai saiyad

tod ke rakh do aaj kafasgar hona hai aazad

or nahi kuch kar sakte to

or nahi kuch kar sakte to

apne pankh jala do

aag laga do, aag laga do

is gulshan ko aag laga do

aag laga do, aag laga do

vo buzdil hai jo lete hai takdiro ka naam

ye takdire to hai apni shamshiro ka naam

maut jinhe manjur hai unko

maut jinhe manjur hai unko

jina aaj sikha do

aag laga do, aag laga do

aag laga do, aag laga do

aag laga do

Explore this song