Roman script

is duniya me dushman ko bhi nahi dena ho rabba 

dard judayi wala ho dard judayi wala 

is duniya me dushman ko bhi nahi dena ho rabba 

dard judayi wala ho dard judayi wala  

kanto par bhi neend aa jaye pritam sath agar ho 

bin pritam ke neend na aaye phoolo ka bistar ho 

gam ke andhero ne loota hai mujhse mera ujala 

dard judayi wala ho dard judayi wala

ranjha bhi ye kahta tha ki ghut ghut kar na marna 

sab kuch karna yara lekin ishq kabhi na karna 

bhar aayenge aankh me aansu aur jigar me chaala 

dard judayi wala ho dard judayi wala

is duniya me dushman ko bhi nahi dena ho rabba 

dard judayi wala ho dard judayi wala 

ho dard judayi wala ho dard judayi wala

Explore this song