Roman script

iss desh ki hai aaj bhi toofan me naiya

bharat me fir se aa jao balram kanaiya

sab aur pada sukha adha hai desh bukha

ghangor hai mehngai janta hai tang aayi

galiyo me bade bade ajgar hai chipe pade

daste hai aaj bhi naag hame ae naag na thaiya

bharat me fir se aa jao balram kanaiya

mahalo me hai diwali kutiyo me raat kali

kuch lo sukh jite baki aanshu pite

ye desh ki surat hai ab aao jarurat hai

lakho sudamao ki hai sunasan madaiya

bharat me fir se aa jao balram kanaiya

ye soch rahe hai sabhi aisa tha na waqt kabhi

bacche na dudh pate maa baap jhatpatate

hey din bandu aao karuna ke sindu aao

kat ti lakho har sal yaha gopal teri gaiya

bharat me fir se aa jao balram kanaiya

iss desh ki hai aaj bhi toofan me naiya

bharat me fir se aa jao balram kanaiya

Explore this song