Roman script

insaf ki dagar pe, bachcho dikhao chal ke

ye desh hai tumhara, neta tumhi ho kal ke

duniya ke rang sahna aur kuch na munh se kahna

sachchaiyo ke bal pe aage ko badhate rehna

rakh doge ek din tum sansar ko badal ke

rakh doge ek din tum sansar ko badal ke

insaf ki dagar pe, bachcho dikhao chal ke

ye desh hai tumhara, neta tumhi ho kal ke

apne ho ya paraye sabke liye ho nyaye

apne ho ya paraye sabke liye ho nyaye

dekho kadam tumhara haragiz na dagamagaye

raste bade kathin hai chalna sambhal-sambhal ke

raste bade kathin hai chalna sambhal-sambhal ke

insaf ki dagar pe, bachcho dikhao chal ke

ye desh hai tumhara, neta tumhi ho kal ke 

insaniyat ke sar pe izzat ka taaj rakhna 

tan man bhi bhet dekar bharat ki laaj rakhna

jivan naya milega antim chita me jal ke

jivan naya milega antim chita me jal ke

insaf ki dagar pe, bachcho dikhao chal ke

ye desh hai tumhara, neta tumhi ho kal ke

insaf ki dagar pe, bachcho dikhao chal ke

ye desh hai tumhara, neta tumhi ho kal ke

Explore this song