Roman script

in aankhon ke zeenon se is dil mein utar jaau 

tum mujhko ijajat do main itna to kar jaau 

main khub samjhti hu hai dil mein tumhare kya 

aa jau main baato mein aur hadse gujar jaau 

hontho ki yahi waadi manjil hai mere dil ki 

main iske siwa tum hi batlao kidhar jaau 

khwabo se hakikat ki duniya ke taraf aao 

tum chaho jidhar jaana main kaise udhar jaau 

main pyas hu sehra ki tum ek samandar ho 

tum chaho to ji lu main tum chaho to mar jaau 

pahucha do mujhe ghar tak baaho ki hifajat mein 

raste mein darakhto ke saayo se naa dar jaau 

raste mein darakhto ke saayo se naa dar jaau

Explore this song