Roman script

humko padhai se kya lena

humko sachchai se kya lena

yaaro humko saath hai rahna

khul ke kahenge jo hai kahna

yaar mere tu kyun khamosh hai

zindagi me ab tak josh hai

humko padhai se kya lena

humko sachchai se kya lena

leke aaye the kya hum yaha

is jaha se jo le jayenge

jo diya hai jamane ne humko

jamane ko hum wahi de jayenge

nafrat ne paala hume 

hume pyar nahi chahiye

nafrat ne paala hume 

hume pyar nahi chahiye

dard ki raaho me hai chalna

humko padhai se kya lena

humko sachchai se kya lena

apne haatho se hi apna ye nasiba

kisi din sawarenge hum

socha hai zindagi me kabhi

hausla na harenge hum

hum jo irada kare

to kuchh bhi mushkil nahi

hum jo irada kare

to kuchh bhi mushkil nahi

humko sholo me hai jalna

humko padhai se kya lena

humko sachchai se kya lena

yaaro humko saath hai rahna

khul ke kahenge jo hai kahna

yaar mere tu kyun khamosh hai

zindagi me ab tak josh hai

Explore this song