Roman script

hum sabko nek rah chalana mere allah

bando ko burai se bachana mere allah

allah karam karna, maula tu reham karna

allah karam karna, maula tu reham karna

ik vakaya sunati hoon main apni zubani

apne bado se maine suni hai ye kahani

rehta tha kisi shehar me ek aisa bhi insan

jo nam ka muslim thha magar kam ka shaitan

zalim ko zor-e-bazoo pe apne guroor tha

yani ke bekhudi me khuda se wo door tha

sab log use kehtey the jallad sitamgar

masoom ki fariyad ka us pe na tha asar

jo wada us ne kar liya wo kar ke dikhaya

paiso ke liye qatl kiye khoon bahaya

ik din wo behta khoon asar us pe kar gaya

insan zinda ho gaya shaitan mar gaya

allah karam karna, maula tu reham karna

allah karam karna, maula tu reham karna

iman jise kehte hain farman-e-khuda hai

quran ke har lafz me us ki hi sada hai

allah ne bakshi hai jo iman ki daulat

ye sab se badi cheez hai insan ki daulat

soye huye dilo ko jagata hai ye iman

bhatke huyo ko rah dikhata hai ye iman

iman ki garmi se pighal jate hain patthar

is noor se bante hain sanwarte hain muqaddar

jo sab se pyar karta hai insan wohi hai

muslim hai wohi, sahibe-iman wohi hai

allah karam karna, maula tu reham karna

allah karam karna, maula tu reham karna

jis kam ke karne pe na ho razi koi dil

wo kam bhi is duniya me nafrat ke hai kabil

jo kuchh bhi zuban keh de wo iqrar nahi hai

laghzish hai labo ki wo gunehgar nahi hai

jo dil se nahi karta burai ka irada

allah se wo tauba karey tod de wada

jaldi jo sambhal jaye wo nadan nahin hai

iman jis me ho wo beiman nahin hai

duniya me hamesha to nahi rehta andhera

insan jahan jage wahi pe hai savera

allah karam karna, maula tu reham karna

allah karam karna, maula tu reham karna

jo sacche dil se karta hai iman ki arzoo

allah ki nazaron mein wo hota hai surkh-rooh

iman me kya kya na saha pyare nabee ne

kya aisi musibat bhi utthayi hai kisi ne

karbal ke shaheedo ne sabak hum ko padhaya

sajde me de ke jan ko iman bachaya

iss rah me jo sehte hain taqleef-o-musibat

ik roz un pe hoti hai allah ki rehmat

insan hai wo jo dusaro ka dil na dukhaye

pad jaye agar jan pe to jan lutaye

allah karam karna, maula tu reham karna

allah karam karna, maula tu reham karna

Explore this song