Roman script

hai jo takdir me sahil to milega sahil 

chhod do aaj se pina kahi tufano me

aap nikalte hai to khil jate hai pathar par bhi 

lout aati hai bahare kabhi virano me

kissa e ahle jafa ahle wafa chal jaye

husn aur ishk ki mahfil me jara jal jaye

o aap khud apni hakikat ko nahi jante hai

aayina samne rakhiye to pata chal jaye

zindgi hai to haseeno ka salam aayega

zindgi hai to haseeno ka salam aayega

pyase hotho ki taraf koi to jam aayega

pyase hotho ki taraf koi to jam aayega

zindgi hai to haseeno ka salam aayega

zindgi hai to haseeno ka salam aayega

aap kya hai jo haseeno ka salam aayega

aap kya hai jo haseeno ka salam aayega

hosh ud jayenge jab rakt me jam aayega

hosh ud jayenge jab rakt me jam aayega

khwabe gaflat pe jaga jayega to acha hoga

hum hai kya humko bata jaye to acha hoga

khwabe gaflat pe jaga jayega to acha hoga

hum hai kya humko bata jaye to acha hoga

hum fakiro ke liye aap hi aayina hai

aap hi samne aa jaye to acha hoga

hum fakiro ke liye aap hi aayina hai

aap hi samne aa jaye to acha hoga

aap jo kuch bhi kahenge hume hoga manzur

aap jo kuch bhi kahenge hume hoga manzur

husan ka aayina ab ishq ke kam aayega

husan ka aayina ab ishq ke kam aayega

zindgi hai to haseeno ka salam aayega

husan ke waste mit mit ke sawarna hoga 

gul ki hajat hai to kato se guzarna hoga

husan ke waste mit mit ke sawarna hoga 

gul ki hajat hai to kato se guzarna hoga

apko rasme wafa kya hai ye malum nahi

reh ke tufan ki mojo me ubharna hoga

apko rasme wafa kya hai ye malum nahi

reh ke tufan ki mojo me ubharna hoga

ishq jab aag ke dariya se guzar jayega

ishq jab aag ke dariya se guzar jayega

tab kahi ja ke mohabat ka mukam aayega

tab kahi ja ke mohabat ka mukam aayega

aap kya hai jo haseeno ka salam aayga

dard ki raah me hum barsenge pathar bankar

gam ke sine me utar jayenge khanjar bankar

dard ki raah me hum barsenge pathar bankar

gam ke sine me utar jayenge khanjar bankar

hum tere nam se usko bhi laga lenge gale

mout aa jayegi jab apna mukadar bankar

hum tere nam se usko bhi laga lenge gale

mout aa jayegi jab apna mukadar bankar

hosla ye hai to mil jayenge ye hath abhi 

husan se ishq ki hona hai mulakat abhi

hosla ye hai to mil jayenge ye hath abhi 

husan se ishq ki hona hai mulakat abhi

hai jo bigdi hui ban jayegi vo bat abhi

parda uth jayega tutenge hijabat abhi

hai jo bigdi hui ban jayegi vo bat abhi

parda uth jayega tutnge hijabat abhi

dil mile hai to mohobat ka payam aayega

dil mile hai to mohobat ka payam aayega

Explore this song