Roman script

hum jaan gaye sarkar, tum lakh karo inkaar

chehre se pasina pochiye, ho gaya hai tumko pyar

ho ho hum jaan gaye sarkar, tum lakh karo inkaar

ho ho hum jaan gaye sarkar

kyu husn ki dekh ke chaal, ho jaate ho behaal

aankhe bhi tumhari lal, kiya kisne jadu daal

ha humse to kaho kuch haal, ha kyo bikhre hai ye baal

tum lakh bano hoshiyar, karti hai nazar iqraar

tum lakh bano hoshiyar, karti hai nazar iqraar

chehre se pasina pochiye, ho gaya hai tumko pyar

ho ho hum jaan gaye sarkar

hai rang bhari ye sham, baadal ka chalkta jaam

bijli bhi karti salam, mausam deta hai paiyaam

ha is dil ko yu na thaam, ha kahi pyar na ho badnaam

kish waqt ho aankhe char, chadta ha thanda bukhar

kish waqt ho aankhe char, chadta ha thanda bukhar

chehre se pasina pochiye, ho gaya hai tumko pyar

ho ho hum jaan gaye sarkar

main nadiya tum tofaan, main dil hu tum armaan

tum bansi aur main taan, duniya bhi aaj jawaan

ha aankhon ka ishara jaan, ha mere sharmile mehmaan

lo aanchal ki patwar, ban jao khewanhar

lo aanchal ki patwar, ban jao khewanhar

chehre se pasina pochiye, ho gaya hai tumko pyar

ho ho hum jaan gaye sarkar, tum lakh karo inkaar

chehre se pasina pochiye, ho gaya hai tumko pyar

Explore this song