Roman script

hum dosti ehsaan wafa bhul gaye hai

hum dosti ehsaan wafa bhul gaye hai

jinda to hai jine ki ada bhul gaye hai

hum dosti ehsaan wafa bhul gaye hai

khusbu jo lutati hai 

masalte hai usi ko

ehsaan ka badla yahi milta hai kali ko

ehsaan to lete hai sila bhul gaye hai

hum dosti ehsaan wafa bhul gaye hai

karte hai mohabbat ka or ehsaan ka sauda

matlab ke liye karte hai imaan sauda

dar maut ka or khauf-e-khuda

bhul gaye hai

hum dosti ahsan wafa bhul gaye hai

ab mom pighal kar koi pathar nahi hota

ab koi bhi kurban kisi par nahi hota

yu bhatke hai manjil ka pata bhul gaye hai

hum dosti ehsaan wafa bhul gaye hai

hum dosti ehsaan wafa bhul gaye hai

jinda to hai jine ki ada bhul gaye hai

hum dosti ehsaan wafa bhul gaye hai

bhul gaye hai

bhul gaye hai

Explore this song