Roman script

ho jamuna kinare 

jamuna kinare jhilmil kare tare

jaha bansuri bazaye yashoda ka ladka

jise sun sun radha ji ka dil dhadka

ho jamuna kinare 

pavo me panjaniya pahan chori chori

ghar se chali re dekho radhe gori gori

kadmo ke niche 

kadmo ke niche aayi ghunghat ko khinche

jaha bansuri bazaye yashoda ka ladka

jise sun sun radha ji ka dil dhadka

ho jamuna kinare 

natkhat tha bada knahaiya pakdi radha ki baiya

are radha ji ka naram karjva nache ta ta thaiya

ek taraf gvalan gaiya ek taraf tha knahaiya

ankhiyo se ankhiya takrai

to bahne lagi purwaiya lo prit gagariya chhalki

mathe se chunariya dhalki

jaha bansuri bazaye yashoda ka ladka

jise sun sun radha ji ka dil dhadka

ho jamuna kinare 

radha mohan ke madhur milan ki faza

dekh kar uthi gagan me ghata

pawan ko hata megh jo fata

barasne laga re musaldhar

gokul bhiga gokul bhiga madhuban bhiga 

bhige kishan murar

bhig gayi re kuvar radhika

bhiga unka pyar panchhi bhor ko pukare

panchhi bhor ko pukare khule nain gatnare

jaha bansuri bazaye yashoda ka ladka

jise sun sun radha ji ka dil dhadka

ho jamuna kinare

Explore this song