Roman script

haye re insan ki majburiya

haye re insan ki majburiya

pas rah kar bhi hai kitni duriya, duriya

haye re insan ki majburiya

kuchh andhere me najar aata nahi

koyi taara raah dikhalaata nahi

jane ummido ki manjil hai kaha

jane ummido ki manjil hai kaha

haye re insan ki majburiya

shamma ke anjam ki kisko khabar

khatm hogi ya jalegi raat bhar

shamma ke anjam ki kisko khabar

khatm hogi ya jalegi raat bhar

jane yeh shola banegi ya dhua

jane yeh shola banegi ya dhua

haye re insan ki majburiya

pas rah kar bhi hai kitni duriya, duriya

haye re insan ki majburiya

Explore this song