Roman script

hath seeta ka ram ko diya

hath seeta ka ram ko diya

janak raja denge aur kya

beti babul ke dil ka tukda

beti babul ke dil ka tukda

dahej kaha isse bada

hath seeta ka ram ko diya

janak raja denge aur kya

ishwar ka vardan hai beti

gharwalo ki jaan hai beti

ye pagdi babul ke sar ki

laaj hai sare ghar ki

daan kanya ka jisne diya

daan kanya ka jisne diya

mayya rani degi or kya

beti maa ke dil ka tukda

dahej kaha isse bada

hath seeta ka ram ko diya

janak raja denge aur kya

rupwati gunwanti gahna

iske aage kya koi gahna

ye naate hai man ke naate

dhan se na jode jaate

pyari bahna ka gahna diya

pyari bahna ka gahna diya

bhaiya raja denge or kya

bahna bhai ke dil ka tukda

dahej kaha isse bada

hath seeta ka ram ko diya

hath seeta ka ram ko diya

janak raja denge aur kya

beti babul ke dil ka tukda

dahej kaha isse bada

hath seeta ka ram ko diya

janak raja denge aur kya

Explore this song