Roman script

hat tima tim tim dekho sar pe hai do singh 

aaye achhe din tota bole sara din 
ek hai angutha ungali hai char 
dekho re pancho me hai kitna pyar 
ek ko bhi lage jo mar sab ke ab hai bekar 
ek ko bhi lage jo mar sab ke ab hai bekar
hat tima tim tim dekho sar pe hai do singh 
aaye achhe din tota bole sara din 
motar chali po po kari teji se dekho aage badhi 

maotar hai ek chekke hai char 
charo ke chalne se chalti hai car 
ek ka bhi ek ka bhi chute jo sath sab ke sab hai bekar 
ek ka bhi ek ka bhi chute jo sath sab ke sab hai bekar 
hat tima tim tim dekho sar pe hai do singh 
aaye achhe din tota bole sara din 
pahad pe gadi bhage piche ek engine duja aage 

khiche ye dabbo ki lambi katar 
dono ki takat na manegi haar dono me se 
dono me se ek na chale gadi ho jaye bekar 
dono me se ek na chale gadi ho jaye bekar 
hat tima tim tim dekho sar pe hai do singh 
aaye achhe din tota bole sara din

Song details

Song video

Watch on YouTube