Roman script

hari sumiran kar lije manva

hari sumiran kar lije manva

hari sumiran kar lije 

hari naam ka amrit pikar 

bhavsagar tair lije 

hari sumiran kar lije manva

hari sumiran kar lije 

hari ke bharose ruki hai dharti 

ruka hai ye aakash

suraj chandar hawa pani 

kan kan me hari ka vas manva

hari sumiran kar lije manva

hari sumiran kar lije 

sukh aur dukh to hawa ka jhonka

hari ka naam na bhul 

ek din tere path ke kante

ban jayenge phul manva

hari sumiran kar lije manva

hari sumiran kar lije 

jo bhi kare wo hari jagat me

koi samjh na paye 

jane kaha kis aur baith kar 

sabko nach nachaye manva

hari sumiran kar lije manva

hari sumiran kar lije manva

hari sumiran kar lije

Explore this song