Roman script

Har ghadi ik naya imtehaan zindagi

Chahti hai tu kya sach bata zindagi

Ho gayi bewajah kyun khafa zindagi

Chahti hai tu kya sach bata zindagi

Dil mein sau uljhane hain pareshan nazar

Hum samajh na sake, hai ye kaisa hai shehar

Raat ko bhi yaha raat soti nahi

Din nikalta hai par subah hoti nahi

Humko le aayi tu ye kahaan zindagi

Chahti hai tu kya sach bata zindagi

Har ghadi ik naya imtehaan zindagi

Chahti hai tu kya sach bata zindagi

Humne paya hai kya aur kya kho diya

Sochne aaj baithe toh dil ro diya

Raah jin jugnuo ne dikhayi humein

Yaad ujalo mein unki naa aayi hume

Hum se kyun ho gayi ye khata zindagi

Chahti hai tu kya sach bata zindagi

Har ghadi ik naya imtehaan zindagi

Chahti hai tu kya sach bata zindagi

Lakshya kya hai tera sirf ye jaan le

Jeetna hai tujhe, dil mein yeh thaan le

Baadalon pe tu apne nishaan chhod de

Aaj tu in hawaaon ka rukh mod de

Kal karega udanon pe teri gumaan

Yeh khula aasmaan

Yeh khula aasmaan

Yeh khula aasmaan

Yeh khula aasmaan…

Explore this song