Roman script

har ghadi dekha karu, wo khwaab pyaara aap hain 

har ghadi dekha karu, wo khwaab pyaara aap hain 

meri zindagi hain ek lahar, jiska kinaara aapa hain

har ghadi dekha karu, wo khwaab pyaara aap hain 

wo khwaab pyaara aap hain 

aapko kajal bana kar rakh liyaa palko tale 

aapko kajal bana kar rakh liyaa palko tale 

aap bindiyaa ban ke mere maathe pe chamka kare 

aaina hain aap mera, aap hi shringaar hain 

aap ki baaho me mere, pyaar ki duniyaa pale 

ye najar karti hain naaz, jinka najaara aap hain

jinka najaara aap hain 

aapka har dukh sahenge, saare gam apnaayenge 

aapka har dukh sahenge, saare gam apnaayenge 

jo khushi na aapki ho, wo khushi thukraayenge

mere sanso ki rawaani aapke hi dam se hain 

aapse hokar juda, ek pal na ham rah paayenge

dil mere sine me hain, dil ka sahara aap hain

dil mere sine me hain, dil ka sahara aap hain 

meri zindagi hain ek lahar, jiska kinaara aapa hain

har ghadi dekha karu, wo khwaab pyaara aap hain 

wo khwaab pyaara aap hain, wo khwaab pyaara aap hain

wo khwaab pyaara aap hain

Explore this song