Roman script

use hasna bhi hoga, use rona bhi hoga

use paana bhi hoga, use khona bhi hoga

subah sham tanhayi me aahe bharega

har dil jo pyar karega

har dil jo pyar karega  

leke hasi hotho pe, aankho me bharke pani

sachchi mohabbat woh hai jo hanske dede kurbani

use rukna bhi hoga, use chalna bhi hoga

use bujhna bhi hoga, use jalna bhi hoga

pir parayi bhi woh chhupke sahega

pedo ki har dali pe phul kaha koyi khilta hai

sabko yaha manchaha hay pyar kaha milta hai

tanhayi me hoga, shehnai me hoga

kabhi apno me hoga, parchaayi me hoga

kaanto ki raho pe bhi hanske chalega

har dil jo pyar karega 

har dil jo pyar karega

har dil jo pyar karega

har dil jo pyar karega

Explore this song