Roman script

haq mangte hai apne pasine ka

adhikar hame bhi hai jine ka 

haq mangte hai apne pasine ka

adhikar hame bhi hai jine ka 

haq mangte hai apne pasine ka

tum lakh amiro aish karo ham dekh tumhe kab jalte hai

ham dekh tumhe kab jalte hai

saye me tumhare mahlo ke lekin kitne gam palte hai

dekho to nazara aake kabhi gam khane aansu pine ka

haq mangte hai apne pasine ka

adhikar hame bhi hai jine ka 

haq mangte hai apne pasine ka

mehnat pe hamari hi tumne ye shishmahal hai khada kiya

ye shishmahal hai khada kiya

tum jinko chota kahte ho in choto ne tumko bada kiya

kyu saal ke piche chubhta hai phir bonas ek mahine ka

haq mangte hai apne pasine ka

adhikar hame bhi hai jine ka 

haq mangte hai apne pasine ka

tum khud bhi jiyo aur jine do hai mang yahi mazduro ki

hai mang yahi mazduro ki

insaaf karo insaf karo ab aah na lo mazduro ki

shola na kahi bankar bhadke ab tak jo dhua hai sine ka

haq mangte hai apne pasine ka

adhikar hame bhi hai jine ka 

haq mangte hai apne pasine ka

adhikar hame bhi hai jine ka 

haq mangte hai apne pasine ka

Explore this song