Roman script

paas aaye, dooriyaan phir bhi kam na hui

ek adhuri si hamari kahani rahi

aasmaan ko zameen ye zaroori nahi jaan le jaan le

ishq saccha wahi jisko milti nahi manzile manzile

rang the, noor tha jab kareeb tu tha

ek jannat sa tha yeh jahaan

waqt ki ret pe kuch mere naam sa

likh ke chhod gaya tu kahaan

hamari adhuri kahani, hamari adhuri kahani

hamari adhuri kahani, hamari adhuri kahani

khushbuon se teri yunhi takra gaye

chalte chalte dekho na hum kahaan aa gaye

jannate agar yahin, tu dikhe kyon nahin

chaand suraj sabhi hai yahaan

intezar tera sadiyon se kar raha

pyaasi baithi hai kab se yahaan

humari adhoori kahaani, humari adhoori kahaani

humari adhoori kahaani, humari adhoori kahaani

pyaas ka ye safar khatam ho jayega

kuch adhura sa jo tha pura ho jayega

jhuk gaya aasmaan, mill gaye do jahaan

har taraf hai milan ka samaa

doliya hain saji, khushbuein har kahin

padhne aaya khuda khud yahaan

hamari adhuri kahani, hamari adhuri kahani

hamari adhuri kahani, hamari adhuri kahani

Explore this song