Roman script

hum pyar me jalnewalo ko

chain kahan, haye, aaram kahan

hum pyar me jalnewalo ko

preet ki adhiyari manzil me, charo aur siyahi

preet ki adhiyari manzil me, charo aur siyahi

aadhi raah me hi lut jaye, is manzil ka raahi

is manzil ka raahi

kaanto par chalnewalo ko

chain kahan, haye, aaram kahan

hum pyar me jalnewalo ko

bahalaye jab dil na bahle, to aise bahlaaye

bahalaye jab dil na bahle, to aise bahlaaye

gam hi to hain pyar ki daulat, ye kahkar samjhaye

ye kahkar samjhaye

apna man chhalnewalo ko

chain kahaan, haye, aaram kahan

hum pyar me jalnewalo ko

Explore this song