Roman script

haiya haiya ho ho 

aye ladki aaha ladki o ladki sapno ki

o ladki aaha ladki ladki sapno ki

arey aaj mili to aise mili 

haye pagal mujhe kar gayi 

ladki aaha ladki o ladki sapno ki

o aaj mili to aise mili 

haye pagal mujhe kar gayi haiya haiya ho ho 

pav mere na padte zami pe

mai to hawa me udne laga hu 

baho me bhar ke sari bahare

mai aasma ko chhune laga hu

sapno ka mere sansar hai wo 

kashti meri wo patwar hai wo

dekhu jidhar bhi dekhu usi ko

is paar hai wo us paar hai wo 

aye ladki aaha ladki ladki sapno ki

o aaj mili to aise mili 

haye pagal mujhe kar gayi haiya haiya ho ho 

haye maine kabhi ye socha nahi tha

hoga kisi din aisa bhi hoga

ladki koi yu mujhse milegi 

dil mera mujhko dega yu dhokha

hey kitni hai pyari ye bekarari

is dard me bhi kitna maza hai

mai bhi wahi hu dil bhi wahi hai

sara zamana lagta naya hai

arey ladki aaha ladki ladki sapno ki

o aaj mili to aisi mili 

haye pagal mujhe kar gayi haiya haiya ho ho 

sine me dil hai dil me hai arma

arma me jage kaise ye tufa

tufa kisi ke roke ruke na

arma kisi ke bandhe bandhe na

jab ho kisi pe dil yu diwana

phir ye kisi ki bate sune na

magrur dil se hai wo farishte

kya zor mera mai to insa

hoye ladki aaha ladki ladki sapno ki

o ladki ladki ladki sapno ki o aaj mili to aise mili 

haye pagal mujhe kar gayi o ladki ladki sapno ki

o aaj mili to aise mili haye pagal mujhe kar gayi

haiya haiya ho ho

Explore this song