Roman script

hai ye ravan ka raaj gum hai shri raam aaj

kaise ho lanka dahan har shay khamosh hai

ye kiska dosh hai ho raha seeta haran

dharti niraash hai sahma aakaash hai

khatre me sara sansaar bebas insaan hai

kaisa bahgwaan hai sunta nahi hai pukaar

bhar jata jab ghada papi ke paap ka

hota hai tab uday suraj isaaf ka

ban ke vo roshni duniya me chhayega

hum ko vishwaas hai ek din vo aayega

Explore this song