Roman script

aansu ka koyi rang nahi, dard ki koi jaat nahin

dil tute to hans de bande

ronewaali baat nahin

aaj dil toota, tu yaar jo rootha

kyun saath ye chhuta, tu jo ho gaya begaana

aaj dil toota, tu yaar jo rootha

kyun saath jo chhuta, dil ko samjhaana

hai tera bhi allaah beli, hai mera bhi allaah beli

raahon mein jo ik saathi tha saaye sa

aise wo phir kyun milke hai bichhda bhala

dono ne hi dekha tha khwaab jo

pal mein jaane kyun aise wo bikhra bhala

khwaab wo tera tha khwaab wo mera

tha yaar tu mera ab hai anjaana

hai tera bhi allaah beli, hai mera bhi allaah beli 

hai tera bhi allaah beli, hai mera bhi allaah beli

khoya kya hai aur paaya hai dil ne kya

jaane kaise ye koyi bhi banda yahaan

maula mere tu usko chain de

jaate jaate jo chaino sukun le gaya

pyaar usko de, tu jeet usko de

tu haar mujhko de, main hoon deewaana

hai tera bhi allaah beli, hai mera bhi allaah beli 

hai tera bhi allaah beli, hai mera bhi allaah beli

hai tera bhi allaah beli, hai mera bhi allaah beli

hai tera bhi allaah beli, hai mera bhi allaah beli

Explore this song