Roman script

haye rey sanjog tune kya ghadi diklayi
paas lakar do dilo ko fir se kyo dedi judaai
haye rey sanjog tune kya ghadi diklayi
bete ke sapno me khoyi ek abhagan maa
dil pukare lal ka bhi maa tu bol kaha 
aisi kismat dekh inki humko to aati rulayi 
haye rey sanjog tune kya ghadi diklayi
in abhago ka nasiba barso se na jaga
waqt in ko aaj fir se de gaya hai daga 
ek taraf bete bhatakta ek taraf roti hai mayi
haye rey sanjog tune kya ghadi diklayi

Song details

Song video

Watch on YouTube