Roman script

Hai koi kahin na kahin

Mere liye jo hai banaa

Badmash hai, naadaan hai

Meri jaan hai use kya pata

Mujhko meri tarah, dhoodhta sochta

Hai koi kahin na kahin

Mere liye jo hai banaa

Gumsum rahe galti kare

Har kaam mein, jo har dafaa

Mujhko meri tarah, dhoondta sochta

Chhann se jo aaye nazar

Ho jaaye phir kahin lapata

Us sey hai jo rishta koi

Par kya hai woh mere Khuda

Ho…

Pa Sa Ni Re

Sa Da Re Ma

Ga Pa Ma Ga Re Ma Ga Re Sa..

Thaam kar baahein chale

Kabhi aasmaan ke uss taraf

Itni hon khamosiyan

Ke sunle tu dil ki dhadak

Umr bhar ho yakeen

Paas ho bas tumhi

Aur kya ho aarzoo

Main kya kahun, aur kyu kahun

Mil gaya sab kuch mujhe

Jab ho tum mere roobaroo

Ho…

Chahata hoon main tujhe

kuch iss tarah se jaan-e-jaan

Ki hawaa bhi aa sakegi na humare darmiyaan

Saath honge hum iss tarah se

Jaise saath hote hain jism-o-jaan

Tu agar kahin saath na ho toh

Toh hogi yeh zindagi dhuaan

Ho… (aa…)

Explore this song