Roman script

ek din shaam ko mai tha baitha

timepaas karne tv dekha

tv pe tab ek ladki aayi

jhatak ke usne kamar hilaayi

hirni ki jaisi kamar ko dekh ke

maine to apni akal gawaayi

josh me aake maine bhi apni

kamre ke size ki kamar hilaayi

arey arey arey arey arey mere bhai

mat puchho maine, haalat kya banaayi

haye kamar, hoye kamar 

tut gayi re meri kamar

khiski wo apni jagah se hatkar 

rota chhoda mujhe phut phut kar

haye kamar, hoye kamar 

ballon si ho gayi meri kamar

jaha bhi jaau, idhar udhar

sabhi ki jaaye us par najar

thik karane usko phir mai 

pahunch gaya doctor ke ghar par

kamar ko dekha phir wo bola

thik karega bhains ka doctor

ulta sula ke usne mujhko 

dono taraf se aise khicha

bhainso ke bhi kaan fat jaaye 

utni jor se phir mai chikha

arey arey arey arey arey mere bhai

mat puchho maine haalat kya banayi

haye kamar, hoye kamar 

tut gayi re meri kamar

tuta hu ab shakira to 

kar dunga mai uski shakkar

o brother, o brother 

baat suno tum meri further

dekh ke kisi ki patli kamar

mat hilaana apni kamar

Explore this song