Roman script

hai duniyaa usi ki, zamaanaa usi kaa

mohabbat me jo ho gayaa ho kisi kaa

luta jo musafir dil ke safar me

hai jannat yah duniya uski nazar me

luta jo musafir dil ke safar me

hai jannat yah duniya uski nazar me

usi ne hai lutaa maza zindagi ka

mohabbat me jo ho gaya ho kisi ka

hai sajade ke kaabil har vo divana

ke jo ban gaya ho tasavir-e-jaana

hai sajade ke kaabil har vo divana

ke jo ban gaya ho tasavir-e-jana

karo ehtaraam us ki divanagi ka

mohabbat me jo ho gaya ho kisi ka

barbaad hona jiski ada ho

dard-e-mohabbat jiski dava ho

barbaad hona jiski ada ho

dard-e-mohabbat jiski dava ho

sataega kya gam use zindagi ka

mohabbat me jo ho gaya ho kisi ka

Explore this song