Roman script

hai dhanya suhagan wo jisne

bharat ko tulsi das diya

mehandi mahawar rach kar bhi

sukh sapno se sanyas liya

mehandi mahawar rach kar bhi

sukh sapno se sanyas liya

hai dhanya suhagan wo jisne

bharat ko tulsi das diya

tumne bhi kangan pahne de

tumne bhi bajai thi payal

tumne bhi kiya tha naino se

kuch din to sawariya ko ghayal

milne aaye tumse pritam

to bhej ram ke pas diya

hai dhanya suhagan wo jisne

bharat ko tulsi das diya

sach mano tulsi na hote

to hindi kahi padi hoti

uske mathe par ramayan ki

bindi nahi jadi hoti

biso basant dekar jisne

badle me bas chomas liya

hai dhanya suhagan wo jisne

bharat ko tulsi das diya

jao kavi jab tak ram amar

dunia me tera nam amar

dunia pujegi raghuwar ko

gunjega tera sar ghar ghar

jiwan to diya hari ko

hamko hari lila ka itihas diya

hai dhanya suhagan wo jisne

bharat ko tulsi das diya

Explore this song