Roman script

Bada hai dard ka rishta

Bada hai dard ka rishta

Dard ka rishta o.. o.. o.. mm..

Bada hai dard ka rishta

Bada hai dard ka rishta

Bada hai dard ka rishta

Yeh dil ghareeb sahi

Tumhaare naam pe aayenge

Gham gusaar chale hmm..

Gulon mein rang bhare

Baad-e-naubahaar chale

Gulon mein rang bhare

Baad-e-naubahaar chale

Chale bhi aao ke gulshan ka karobaar chale

Chale bhi aao ke gulshan ka karobaar chale

Gulon mein rang bhare 

Baad-e-naubahaar chale

Gulon mein rang bhare

Baad-e-naubahaar chale

Hmm..

Qafas udaas hai yaaron sabaa se kuch to kaho

Qafas udaas hai yaaron sabaa se kuch to kaho

Kahin to bahr-e-Khuda aaj zikar-e-yaar chale

Chale bhi aao ke gulshan ka kaarobaar chale

Gulon mein rang bhare

Baad-e-naubahaar chale

Jo humpe guzri so guzri

Magar sab-e-hijraan

Jo humpe guzri so guzri

Magar sab-e-hijraan

Humaare ashq teri aaqibat sanwaar chale

Chale bhi aao ke gulshan ka kaarobaar chale

Gulon mein rang bhare

Baad-e-naubahaar chale

Gulon mein rang bhare

Baad-e-naubahaar chale

Word Meanings = gulon: flowers, baad-e-naubahaar: breeze of new spring, gulshan: garden, qafas:cage/prision, sabaa: gentle breeze, bahr-e-Khuda: Khuda ke liye, zikr-e-yaar: mehboob ka zikr, shab-e-hijraan: the night of separation, aaqibat: end / future life

Explore this song