Roman script

gulashan ki faqat phulo se nahi

kaato se bhi zinat hoti hai

gulashan ki faqat phulo se nahi

kaato se bhi zinat hoti hai

jine ke liye is duniya me

gam ki bhi zarurat hoti hai

e waaiz e nadaan karta hai

tu ek qayaamat ka charcha

e waaiz e nadaan karta hai

tu ek qayaamat ka charcha

yaha roz nigaahe milti hain

yaha roz qayamat hoti hai

yaha roz nigaahe milti hain

yaha roz qayamat hoti hai

wo pursish e gam ko aaye hain

kuch kah na saku chup rah na saku

wo pursish e gam ko aaye hain

kuch kah na saku chup rah na saku

khamosh rahu to mushkil hai

kah dun to shikayat hoti hai

khamosh rahu to mushkil hai

kah dun to shikayat hoti hai

karna hi padega zaqat e alam

pine hi padenge ye aansu

karna hi padega zaqat e alam

pine hi padenge ye aansu

fariyaad o fugaa se e nadaan

tauhin e mohabbat hoti hai

fariyaad o fugaa se e nadaan

tauhin e mohabbat hoti hai

jo aake ruke daaman pe saba

wo ashq nahi hai paani hai 

jo aake ruke daaman pe saba

wo ashq nahi hai paani hai

jo aansu na chhalke aankho se

us ashq ki qimat hoti hai

gulashan ki faqat phulo se nahi

kaato se bhi zinat hoti hai

jine ke liye is duniya me

gam ki bhi zarurat hoti hai

Explore this song