Roman script

Oye oye oye oye oye dhapi

Oye oye oye oye oye jhhapi

Oye oye oye oye oye pappi

Umm Muaaah :-*

Sun oye ghanchakkar babu

Tere chakkar hai bekaabu

Hua bheja talke sabudana re

(yeah yeah yeah…)

Karta apne mann ki

Bhook badi hai dhan ki

Sabne tujhko sanki maana re

Oh lutiye, oh khatiye, oh lungi

Continous thookam-patti

Oh ghanchakkar sun le

Jaal ke sweater bun le

Shakkar badle gud le jaana re

Sar bhooton ki matki

Chat pe ulti latki

Taal pe maare chutki

Shaana re

Lafda, Jhagda, Sumdi

Spontaneous jholam-patti

Hey wah re wah, wah re wah!

Tujhme bhar ke yeh shaitani buddhi

Tauba keh ke shaitano ne bhi karwa li nasbandi

(la la supara, dekho Sayonara)

Hey, tujhko kya pakdega bhaiya daaroga koi thaane ka

Tune kardi hai FBI ki bhi nikkar gandi

Bank ho ya ho locker

Baap ka tere naukar

Khada hai khulla hokar aana re

yeah yeah yeah…

Mantar tere hatke

Sur se thoda bhatke

Aaya hai jo rat ke gaana re

Aye Tabla, aye Tumba, aye Pungi

Continous thookam-patti

Yeh shyana hai, shyana hai

Udti chidiya ke par gin leta hai

Aa aa, ee ee ke badle issne sikha Alpha Theta

Sabke colar ke bhaiya ilzaamon ka kichad uchhla

Iske muh pe na aaya galti se bhi single chheeta

Baat hai yeh andar ki

Saazish ke daftar ki

Daal hai murgi ghar ki khaana re

Aankh jo daayi fadki

Chahat utni bhadki

Door bhagaye kadki, aana re!

Aye chammiya, aye Ramiya, oh gutli

Spontaneous jholam-patti

Explore this song