Roman script

phul se chhin ke khushbu tune dhul me use milaya 

apne chahne walo pe malik julm ye kaisa dhaya

gam sahti hai chup rahti hai kaisi ye lachari hai

gam sahti hai chup rahti hai kaisi ye lachari hai

chup chup rahna sab kuch sahna  

iska hi naam to nari hai gam sahti hai chup rahti hai 

kaisi ye lachari hai

gehna samjh kar tune pehan li kyun zanzire

gehna samjh kar tune pehan li kyun zanzire

zanzire kat jaye kar aisi takbire

takbire nahi chalti chalti hai takdire  

karam likha jo humko mila wo

ye takdir hamari hai chup chup rahna sab kuch sahna  

iska hi naam to nari hai gam sahti hai chup rahti hai 

kaisi ye lachari hai

phul thi wo tu jisne kabhi gulshan ko mahkaya

phul thi wo tu jisne kabhi gulshan ko mahkaya

sawan me bhi tujh par patjhad kyu hai chhaya

phul ki khushbu koi kab bandh ke rakh paya

phul kabhi sukh ke kante kabhi dukh ke

jivan wo phulwari hai chup chup rahna sab kuch sahna  

iska hi naam to nari hai gam sahti hai chup rahti hai

kaisi ye lachari hai

kaise dekh sakenge teri aankho me shabnam

kaise dekh sakenge teri aankho me shabnam

tere hisse ke malik de de hume sab gam 

dard na bante koi kya tum aur hum

tum bahar ke masle ye ghar ke

socho ye bhul tumhari hai

chup chup rahna sab kuch sahna  

iska hi naam to nari hai gam sahti hai chup rahti hai 

kaisi ye lachari hai

Explore this song