Roman script

gehare halake halake gehare chhaaye shaam ke saaye
dhire dhire haule haule dil ki dhadkan gaaye
tum ho main hoon aur tanhayiya 
tan mein jaagi hai angdayiya
gehare halake halake gehare chhaaye shaam ke saaye
dheere dheere haule haule dil ki dhadkan gaaye
tum ho main hoon aur tanhayiya 
tan mein jaagi hai angdayiya
mausam ki ye kya nayi reet hai 
mausam ki ye kya nayi reet hai 
thnadi hawaao mein sangeet hai
purwa san san gunje ban ban 
koyal shor machaaye
tum ho main hoon aur tanahaayiya 
dheemi dheemi hai shehnaayiya
palako pe jaise ghata chha gayi 
palako pe jaise ghata chha gayi 
baahon ke ghere mein main aa gayi
brsha dhar dhar barase 
jhar jhar mann mein aag lagaaye
tum ho main hoon aur tanahaayiya 
bheegi bheegi hai parchhayiya
rangin dil ke fasane huye 
rangin dil ke fasane huye 
hum tum to jaise diwane huye
mehaki mehaki behaki behaki rut ne hosh udaaye
tum ho main hoon aur tanahayiya 
gulshan gulshan hai ruswaiya
gehare halake halake gehare chhaaye shaam ke saaye
dheere dheere haule haule dil ki dhadkan gaaye
tum ho main hoon aur tanhaayiya 
tan mein jaagi hai angdayiya

Song details

Song video

Watch on YouTube

singer: Lata Mangeshkar, Kishore Kumar

actor: Rishi Kapoor, Amrita Singh