Roman script
gazab kiyaa tere waade pe aitabaar kiyaa tamaam raat qayaamat ka itazaar kiyaa hansaa-hansaa ke shab-e-wasl ashqabaar kiyaa tasaliyaan mujhe de-de ke beqaraar kiyaa ham aise mahav-e-nazaaraa na the jo hosh aataa magar tumhaare tagaaful ne hoshiyaar kiyaa fasaanaa-e-shab-e-gam unako ek kahaani thi kuchh aitabaar kiyaa kuchh na aitabaar kiyaa
Explore this song
- Singer: Mohammed Rafi
- Film / album: Non-Film (Mohammed Rafi)
- Composer: Khayyam
- Lyricist: Daag Dehalwi