Roman script

garibon kaa pasina bah raha hai 

garibon kaa pasina bah raha hai 

yeh paani bahte bahte kah raha hai

kabhi woh din bhi aayega

yeh paani rang laayega, yeh paani rang laayega

garibon kaa pasina bah raha hai 

garibon kaa pasina bah raha hai 

yeh bunde dekh lena ek din tufaan laayengi

jamin toh hai, jamin yeh aasman ko bhi hilaayengi

garibon ke gharo tak chal ke khud bhagwaan aayega

yeh paani rang laayega, yeh paani rang laayega

garibon kaa pasina bah raha hai 

garibon kaa pasina bah raha hai 

sitam kaa hadh se badh jana tabahi ki nishaani hai

badalte hain sabhi ke din purani yeh kahaani hai

jamana ek din girte huo ko uthaayega

yeh paani rang laayega, yeh paani rang laayega

garibon kaa pasina bah raha hai 

garibon kaa pasina bah raha hai 

agar jal kar kisi majbur ne fariyaad kar daali

toh kudarat ke khjane dekhna ho jayenge khaali

jamin phat jayegi, jamin phat jayegi suraj kaa gola tut jaayega

yeh paani rang laayega, yeh paani rang laayega

garibon kaa pasina bah raha hai 

garibon kaa pasina bah raha hai 

yeh paani bahte bahte kah raha hai

kabhi woh din bhi aayega 

yeh paani rang laayega, yeh paani rang laayega

garibon kaa pasina bah raha hai 

garibon kaa pasina bah raha hai 

garibon kaa pasina bah raha hai 

garibon kaa pasina bah raha hai 

garibon kaa pasina bah raha hai

Explore this song