Roman script

ghareeb jaan ke

ghareeb jaan ke ham ko na tum mita dena

tumhi ne dard diya

tumhi ne dard diya hai tumhi dawaa dena

ghareeb jaan ke

lagi hai chot kaleje pe umar bhar ke liye

lagi hai chot kaleje pe umar bhar ke liye

tadap rahe hain muhabbat mein ik nazar ke liye

nazar milake

nazar milaake muhabbat se muskura dena

tumhi ne dard diyaa hai tumhi dawaa denaa

ghareeb jaan ke

jahan mein aur hamara kahan thikana hai

jahan mein aur hamara kahan thikana hai

tumhaare dar se kahaan uthke hamko jaana hai

jo ho sake to

jo ho sake to muqaddar mera jagaa denaa

tumhi ne dard diyaa hai tumhi dawaa denaa

ghareeb jaan ke

milaa qaraar na dil ko kisi bahane se

milaa qaraar na dil ko kisi bahane se

tumhari aas lagaaye hain ik zamane se

kabhi to apni

kabhi to apni muhabbat ka aasraa denaa

tumhi ne dard diyaa hai tumhi dawaa denaa

ghareeb jaan ke

nazar tumhari mere dil ki baat kahti hai

nazar tumhari mere dil ki baat kahti hai

tumhari yaad to din raat saath rahti hai

tumhari yaad ko

tumhari yaad ko mushqil hai ab bhula dena

tumhi ne dard diya hai tumhi dawaa dena

tumhi ne dard diya

milega kya jo ye duniya hamen sataayegi

milega kya jo ye duniya hamen sataayegi

tumhaare bin to hamen maut bhi na aayegi

kisi ke pyaar ko

kisi ke pyaar ko aasaan nahin mita dena

tumhi ne dard diya hai tumhi dawaa dena

ghareeb jaan ke

Explore this song