Roman script

gamzado ko aish ka paigaam kya

gam ki duniyaa me khushi kaa kaam kya

kaam kya

dil jaha duba adhera ho gya

ashk tute to savera ho gya

ham garibo ki sahar kya shaam kya

shaam kya

kaap uththa zindagi kaa saaz kyo

gam me hai dubi hui aawaaz kyo

phir chalakne ko hai dil ka jaam kya

jaam kya

koi arma muskra sakta nahi

dil khushi ke git ga sakta nahi

zindgaani hai isi ka naam kya

naam kya

Explore this song