Roman script

pareshaan tha pareshaan hai

ye dil kambakht dil mera

hae dil mera

pareshaan tha pareshaan hai

mere gulshan ke gul saare

khile ik pal na bechaare

kabhi in par bahaar aae

ye aramaan tha ye armaan hai

jo marham kaam kar jaata

to koi zakhm bhar jaata

mere zakhmo pe marham ka

na ehsaan tha na ehsaan hai

Explore this song