Roman script

palke jhukne ka naam na le

aansu rukne ka naam na le

dil pe kaisa bojh hai ye

dhadkan badhne ka naam na le

galat fehmiyo ne ye kya kar diya

galat fehmiyo ne ye kya kar diya

bewajah do dilo ko juda kar diya

galat fehmiyo ne ye kya kar diya

galat fehmiyo ne ye kya kar diya

tumne itna pyaar kiya

aur maine to parwah na ki

main tum pe shak karta raha

phir bhi tumne aah na ki

tumko aansu deta raha

khud bhi pal pal rutha raha

dono hi anjaan rahe

jaane kya kya hota raha

nadaniyo ne ye kya kar diya

nadaniyo ne ye kya kar diya

bewajah do dilo ko juda kar diya

galat fehmiyo ne ye kya kar diya

galat fehmiyo ne ye kya kar diya

chahat ke in lamho ko dono hi na jee paaye

chhote mote jakhm mile dono hi na see paaye

ek hawa ke jhonkhe ko

hum tufaan samajh baithe

aisi haalat mein tumko

hum beimaan samajh baithe

badnaamiyo ne ye kya kar diya

badnaamiyo ne ye kya kar diya

bewajah do dilo ko juda kar diya

galat fehmiyo ne ye kya kar diya

galat fehmiyo ne ye kya kar diya

galat fehmiyo ne ye kya kar diya

galat fehmiyo ne ye kya kar diya

Explore this song