Roman script

faasla to hai magar, koi faasla nahi

faasla to hai magar, koi faasla nahi

mujhse tum juda sahi, dil se to juda nahi

faasla to hai magar, koi faasla nahi

aasmaan ki fiqr kya, aasmaan khafa sahi

aasmaan ki fiqr kya, aasmaan khafa sahi

aap ye bataaiye, aap to khafa nahi

aap ye bataaiye, aap to khafa nahi

kashtiyaan nahi to kya, hausle to paas hai

kashtiyaan nahi to kya, hausle to paas hai

keh do na khudaa use, tum koi khuda nahi

keh do na khudaa use, tum koi khuda nahi

lijiye bula liya, aapko khayaalon me

lijiye bula liya, aapko khayaalon me

ab to dekhiye hamen, koi dekhta nahi

ab to dekhiye hamen, koi dekhta nahi

aaiye charaag-e-dil, aaj hi jalaye hum

aaiye charaag-e-dil, aaj hi jalaye hum

kaisi kal hawa chali, koi janta nahi

faasla to hai magar, koi faasla nahi

mujhse tum juda sahi, dil se to juda nahi

Explore this song