Roman script

falsafa pyar ka tum kya jano 

falsafa pyar ka tum kya jano 

tumne kabhi pyar na kiya, tumne intzar na kiya

falsafa pyar ka tum kya jano 

falsafa pyar ka tum kya jano 

tumne kabhi pyar na kiya, tumne intzar na kiya

khubsurat ho magar pyar ke andaz nahi

ye kami hai ke tumhara koi humraz nahi

dil me jab dard nahi baat banegi kaise

saaz chheda bhi magar pyar ki aawaz nahi

falsafa, falsafa pyar ka tum kya jano

falsafa pyar ka tum kya jano 

tumne kabhi pyar na kiya, tumne intzar na kiya

kaise smajhau ye nazuk sa fasana tumko

ye vo manzar hai jo mehsus huya karta hai

rahti duniya me wohi rahta hai markar zinda

pyar ke naam pe jo jaan diya karta hai

falsafa, falsafa pyar ka tum kya jano

falsafa pyar ka tum kya jano 

tumne kabhi pyar na kiya, tumne intzar na kiya 

pyar shiri ne kiya pyar hi laila ne kiya

pyar meera ne kiya pyar hi radha ne kiya

pyar har rang me logo ko sada deta hai

pyar ke parde me hum sabka khuda rahta hai

falsafa, falsafa pyar ka tum kya jano

falsafa pyar ka tum kya jano 

tumne kabhi pyar na kiya, tumne intzar na kiya 

tumne kabhi pyar na kiya, tumne intzar na kiya

Explore this song