Roman script

ek khabar aayi suno ek khabar aayi

hone waali hai gangaraam ki sagaai

hone waali hai gangaraam ki sagaai

ek khabar aayi suno ek khabar aayi

mukh goraa-goraa ankhiyaan gulabi

kaisi hogi aisi hogi bhaiya meri bhabhi

naachungi main aise gaaungi main aise

naachungi main gaungi aur bajegi shahanai

ek khabar aayi suno ek khabar aayi

ho na jana aisi biwi ka diwana

naye nate na tute nata yah purana

hame na bhulana yuhi aana jaana

de na jaana hamen kahi lambi judai

ek khabar aayi suno ek khabar aayi

jaldi se sunana shadi ka natija

mere sune ghar mein khele mera bhatija

jaldi se sunana shadi ka natija

mere sune ghar mein khele mera bhatija

gussa bada aayega munna jaag jayega

royega na soyega wo mangega mithai

ek khabar aayi suno ek khabar aayi

Explore this song